Search This Blog

Wednesday, December 29, 2010

DECEMBER K DINO MEN TUM NE MUJH SE YE KAHA THA NA.

December k dino main tum ne mujh se ye kaha tha na,

K tanha hoin magar phir bhi tumhara sath main doun ga,

Apnay hath aankhon par mairi rakh kar kaha tha na,

Bhari duniya se takra k tumhara sath main doun ga,

Mujhe aghosh main lay kar ye aksar mujh se kahty thy,

Koi mushkil jo aaye gi tumhara sath main doun ga,

Na badlon ga kabhi jaisay mosam ye badaltay hain,

Badaltay mosamon main bhi tumhara sath main doun ga,

Tumhari inhi baaton se boht majboor ho kar main,

Sab k samny tum se ye kahna chahta hoin,

Tumhare ehad-o-paymaan se to ye mosam hi achay hain,

Ehad kar k nahi loatay tum ye mosam loat aaya hai,

December main kaha tha na k wapis loat aaon ga,

Abhi tak tum nahi lotay
"DECEMBER LOAT AAYA HAI".
www.barlaschoice.blogspot.com

No comments:

Post a Comment