Ae naye saal bata tujh main naya kya hai?
Har taraf khalq ne kun shor macha rakha hai,
Roshni din ki wohi taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasmaan badla hai na badli ye afsurda zameen,
Ek Hindsay ka badalna koi jiddat to nahi,
Agley barson ki tarha hon gay qareenay tere,
Kisay maloom nahi 12 mahinay tere,
Besabab daite hain kun log mubarak badain,
Sub kya bhool gaye waqt ki karwi yadain,
Tu naya hai to dikha subah naye sham naye,
Warna in aankhon ne daikhay hain naye saal kayin.
www.barlaschoice.blogspot.com
No comments:
Post a Comment